Mujko Bhi Tarkeeb Shika Yaar Julahe

मुझको भी तरकीब सिखा यार जुलाहे
- Gulzar

अकसर तुझको देखा है कि ताना बुनते
जब कोइ तागा टुट गया या खत्म हुआ
फिर से बांध के
और सिरा कोई जोड़ के उसमे
आगे बुनने लगते हो
तेरे इस ताने में लेकिन
इक भी गांठ गिराह बुन्तर की
देख नहीं सकता कोई

मैनें तो ईक बार बुना था एक ही रिश्ता
लेकिन उसकी सारी गिराहे
साफ नजर आती हैं मेरे यार जुलाहे

Comments

priya mitra, aapka blog

priya mitra,
aapka blog dekha accha laga . hindi ke vistar ke liye hum bhartwasi yadi kuch nahi karenge to koun karega. jab sare vishya me hamare technicion phele hua he to hindi kyu nahi phele.
mei hindi me apne comments kaise type karu please mujhe guide kare. dhanyavad
Dr. Kamal Hetawal

hi

hame laga ki ham hi jaise kuch log hindi ko itna mahatwa dete hai magar in mahan kaviyo k chalte hi hindi ka astitwa aj bhi bharat me jinda hai .........................................

Hindi ke bina bhawnaye

Hindi ke bina bhawnaye purntaha vyakt nahi ki jaa sakti..... khaskar ek hindustani ki.......

dhanyawad

aj k is kalyug me bhi log hidi sahitya ko dekh pate hai , to wo ap jaise logo ki badolat hai nahi to , ane wale samay me sayad hame apne naye ladko ko ye batana pade ki hindi me bhi kavitaye hua karti thi......... hum bharat wasi iske liye apke sada abhari rahenge....

Chahe jitni bar padho,

Chahe jitni bar padho, shabdon ki khubsoorti aor gahrai aur jyada nazar aati hai!
Gulzar Sahib ke liye mein kuch kahoon chote moonh badi bat hogi bas itna hi kahna thik hai ki
" Hum khusnasib hein ki padh pa rahein Gulzar sahib ko sath sath Jamane mein jee kar.

gulzaar the great

jaado ki narm dhoop aur aangan me letkar,khich ke tere aanchal ke saaye ko, ulte pade rahe kabhi, kabhi karvat liye huye. dil dhoondhta hai phir wohi.....................
Kya koi mukabla hai gulzaar saheb ka...............................
main bhi thoda bahot likh leta hoo. padh sako to http://www.hprahi.com

Its one of the best poem.

Its one of the best poem but we all are very happy if this poem will be available in complete part instead of partial portion.

Ek Baar Aur.....

threeShayad hum sabhi log jinhone bharat mein janam liye Un sabhi ki zabaan Hindi/Urdu ki taleem apne aap hi aa jati hain...

Hum sabhi apni bhavnayo ko vyakt karne ke liye amuman isi shally ka proyog karte hain chahe woh koi Geet ,Nazm,gazal,Ashiyaar ya kuch bhi jab sunte ho to woh hamare dil ke kareeb dastak dekar ander chale aate hain aur hum badi mohabbat se unko sehj kar unko band kar lete hain "Gulazaar " ke geeto ke pehchaan yahi hain ki unki kalam jab bhi chali woh hamare jeevan ke ird gird hi rahi...